Free fire game me nick name kaise change kare

Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki kaise ham free fire game me name change kar sakte hai.



Agar aap ek achhe gamer hai to aapne free fire game ke bareme jante hi honge ya fir aap free fire game khelte bhi honge. Kafi sare logon ko free fire game me apna nick name change karne me dikkat hota hai.

Sabhi gamer pro player ki tarha apna bhi ek professional name set karna chahte hai free fire me. To chaliye ham jante hai ki kaise ham pro player ki tarha free fire me apna name change kar sakte hai to aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Free fire me Name kaise change kare

Step1. Sabse pehle aap apne phone me free fire game ko open kare.


Step2. Ab aap apna ek professional look me name choose kare.

Aap nickfinder ka bhi help le sakte hai ek professional ya stylish name choose name choose karne me. Usske liye,


> Aap apne web browser me nickfinder.com open kare.

> Nickfinder.com open hone ke badh aap sabse niche scroll kare yani niche jaye. Waha par niche kuchh top nick name dekhne ko milega aa ko jo name achha lagta hai uss name ka symbols aapko chahiye hota hai, to aap uss name ke word par tap kare.

Free fire game me nick name kaise change kare


> Ab aapka wo symbol ya style copy hojayega.

Step3. Name choose karne ke badh aap firse free fire game application ko open kare.

Step4. Ab aapko apne free fire game ke account me jana hai.


Step5. Usske badh aapko apne free fire ke profile me jana hai.

How to change name in free fire game


Step6. Profile section me aapko left side upar ek edit ka option dikhega pencil ke icon me aapko usspar click karna hai.

How to change name in free fire game


Step7. Ab aapko new nickname ke option par click karna.

Free fire game me nick name kaise change kare


Pen ke icon pe jaise hi aap Click karenge aapko current Nick name ke niche ek new nickname ka option dikhega aapko uss par click karna hai aur aapne jo style copy ki thi nickfinder.com se aapko usse yaha par paste kardena hai.

Step8. Ab aapne jo style new nick name paste ki hai ussme kya name rakhna chahte hai wo edit karle aur set kare.

Step9. Ab aapko confirm ke option oar Click karna hai. New nick name set karne ke badh aapko niche right side me ek confirm ka option dikhega usspar click karna hai.

Free fire game me nick name kaise change kare


Note(i): aapko isske liye 390 Diamond💎 kharch karne honge.

Note(ii): Aap free fire me nick name change karte wakt 12 characters se jyada na dale warna error show karega aur aapka name nahi change hoga. Kafi sare log 12 characters se jyada characters dal dete hai kabhi kabhi iss liye bhi free fire me name nahi change kar pate hai. Yaad rahe agar aap name me koi symbol rahe hai to ek symbol = 2 characters hota hai aap 6 symbol lagayenge to 12 characters hoga aur total 12 characters se jyada nahi support karta hai.

Free fire game me nick name kaise change kare



Note(iii): Agar aap free me nick name change karna chahte hai to aapko kuchh Diamond collection karna hoga. Aap niche guild token me jakar add dekh dekh kar Diamond collection kar sakte hai aur fir aap required Diamond collection karne ke badh apna nick name free fire me kar sakte hai. Ya fir agar aap achhe se game khelte hai aur aap ek pro player hai to aapko nick name change karne ka option dekha free fire.


Pixelflow app kaise use kare - youtube intro video banaye


Namaskaar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki kaise ham pixelflow application ko use karke intro video create yan edit kar sakte hai.

Intro kya hai
Agar aap ek youtuber hai to aapko pata hi hoga ki intro video kya hota hai. Jab bhi youtube par ham koi video dekhte hai to video ke first aur last me ek chhota sa introduction video aate hai channel ke bareme. Ussme channel ka name likha hota hai aur channel kis bareme hai thoda wo.



To chaliye ab ham jan lete hai ki pixelflow appko use karke kaise ham channel ka intro bana sakte hai.

Pixelflow app kaise use kare / pixel flow app se youtube video kaise banaye:


How to use pixelflow app in hindi:


Step1. Sabse pehle aap pixelflow application ko install kare. Aise kafi sare application available hai jisse aap intro video bana sakte hai par mai yahapar pixelflow app use karke kaise banate hai usske bareme batane bala hu.

    • To sabse pehle aap apne android mobile phone me playstore se pixelflow application ko download karke install kare.

    • Aapko playstore ke search bar me type karna hai pixelflow. Aur fir isse install karlena hai. Aap iss app ka icon picture me bhi dekh sakte hai niche.

    Pixelflow app icon





Step2. Ab aap pixelfolw application ko open kare. Ye application internet pe yani online chalta hai to aap apna internet connection on rakhe chahe wo data ho ya wifi.

Step3. Templates ke option par click kare. Niche buttom me aapko ek templates ka option dikhega Row option ke left side me. Aapko usspar click karna hai.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye

      • Wahapar aapko general, minimal, cooking, technolog, gradient etc karke aise kafi sare category wise templates dekhneko milega.

      • Un mese kafi sare templates me lock laga hoga matlab wo premium hai. Agar aap premium template ko use karna chahte hai to aapko kuchh uske paise dene honge.

      • Aur kafi sare free templates bhi hai to aap apne hisab koi ek template chunle jo aapko achha lage.

> kisi ek intro bale template pe click kare. Jaise hi click karenge wo template kis tarha se dikhega usska video chalne lagega.

Step4. Ab aap use par click kare. Aap template pe click karenege to niche buttom me aapko ek use ka option dekhega aap usspar click kare.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye


Step5. Usske badh effect me jaye. Aap dekhenge to background ke Left side me ek effect ka option hoga aap usspar click kare. 



Fir aapko kuchh isstarha ka chije varna hoga.

      Change text: Yaha par aapko apne youtube channel ka naam dalna hai ya fir wo naam jo ki aapke video me pehle aayega intro ki taurpe.

    Change element color: yaha par click karke aap apne uss text yani channel name ka color change kar sakte hai jo aapne dala hai.
   
   Change Size and Position:
     Scale: Iss option ko use karke aap Size ko chhota ya bada karsakte hai.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye


     Position x: iss position x ke madat se aap apne text ya channel name ko x axis yani left ya right ki or move kar sakte hai.

    Position Y: Iss option ki madat se aap apne channel name ya text ko Y axis yani upar ya niche ke or move kar sakte hai.

Step6. Background ke option par click karke apna background set kar sakte hai.

Aap Upar Effect ke right side me dekhenge to aapko ek background ka option dikhega, agar aap koi dusra background lagana chahte hai ya fir apna khudka custom background lagana chahte hai to uss background ke option par click kare.

    • Background ke option par click karke aap koi dynamic, video, Image etc set kar sakte hai background me.

   • agar aap image ke option par click karenge background me image rakhne ke liye to set background image ke niche aapko do option milega. Ek form internal storage aur dusra download from library.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye


    From internal storage: Ye option aapko download from library ke left side me dekhne ko milega, iss option par click karke aap phone ke internal storage yani gallery se koi apne man pasand ka background image laga sakte hai.

   Download from Library: Iss option par click karke aap internet se koi image download kar sakte hai aur apne intro video ke background me laga sakte hai.

Dark n: Ye dark mode ka option hai agar aap apne intro video ke background ko dark karna chahte hai to iss sabse niche bale dark mode ke option par click karke intro video ke background ko dark mode me kar sakte hai.



Step7. Ab aap export ke option par click kare.
Sab set karlene ke badh aapko upar right side me ek export ka option dikhega aap usspar click karke apne video export kar sakte aur fir aapka video aapke phone me save hojayega. Usske liye aapko ek aur step follow karna hoga step8.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye


Step8.  Video Resolution ya quality ko select kare. Jaise hi aap export ke option par click karenge to aapko video resolution ya quality ko select karneko bolega to aap apne hisab quality select karle.

    • Hosake to aap high resolution hi select kare jaise ki 1080p ya 720p taki intro video ka quality ekdam clear aur hd dekhega haan ye thoda slow render hoga yani kuchh der time lega save hone me par achhe quality me hoga. To aap high resolution hi select kare.


Ab aapka Intro video aapke phone ke gallery me save hojayega. Aur aap usse youtube video ke intro me use kar sakte hai ya fir kahi aur. Iss tarha se aap pixelflow app ko use karke mobile se Intro video bana sakte ho video ko edit kar sakte ho aur use apne youtube video me use kar sakte hai.

Also see: 

•  mobile mein pdf file kaise banate hain | how to create pdf in mobile

Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye

Mobile me dark mode ya night mode kaise enable kare bina kisi app ke

Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare



Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki kaise kisiko apne instagram account me block ya unblock kar sakte apne mobile phone aur computer dono se.

Instagram me kisiko ham block ya unblock kyun kare:

Aise bohot se reason hote hai kisiko instagram account me block karne ka par yaha par mai kuchh common reasons ke bareme batane bala hu jinke wajah se aap kisiko apne instagram account me block ya unblock kar te hai.

Sabse pehle ham ye jan lete hai ki koi kisiko instagram account me block kyun karte hai. Uske badh janenge ki blocked account ko firse unblock kyun karte hai.

Instagram account me kisi ko block karne ka reasons:

i) Koi aapko bar bar paresan karne ke wajah se.


Kaibar kya hota hai ki ham kisi unknown insta user ko yani kisi unknown instagram id ko follow kar lete hai aur wo fir hame paresan karne lagte hai. Aise me ham sochte hai ki kyun na ham isske instagram id ko block karde apne account me taki wo firse paresan na kare.

ii) unknown account hone ke wajah se block kardena.

Kai bar kya hota hai ki hamse jane anjane me unknown ya anchinhe jisse ham jante bhi nahi wo bhi hamse follow hojata hai aur wo hamare instagram me add hojate hai aise me kuchh log kya jarte hai ki un sabhi unknown insta user ko block ya unfollow kar dete hai.

iii) Call ya message se paresan hokar block karna.

Kai bar kuchh instagram user hame bechida sa kuchh message ya bar bar call karke hame kafi paresan kar dete hai agar ham uske reply na bhi de to  bhi wo call ya message kare ke kare ja rahe hote hai. Aise ham kafi irritate hojate hai aur fir uss instagram user ke id ko block kardete hai.

  • Agar aap ladki ya female ho to aapko aisa problem kai bar jhelna pad sakta hai, aise bohot se log hote hai jo ladkiyo ke account dekhte hi message pe message ya call kar kar ke kafi paresan kar dete hai aur block ke alawa hame koi rasta nahi dikhta hai uss wakt. So wo block kardeti hai aise instagram user id ko.

iv) Privacy ya account ko secret rakhne ke liye.

Kai bar kya hota hai ki kuchh ladkiya apna ek instagram account banati hai aur nahi chahte hai ki unke koi family member ya koi relative dekhe ya fir koi aise log jinhe wo nahi dikhana chahta hai apna koi photos video jo usne instagram pe share ki hoti hai aise me wo kya karta hai ki uss instagram user ko block kar dete hai taki wo nahi dekhe unka Post photos aur videos jo ussne instagram pe share ki hai.

Kisiko instagram par unblock kyun karte hai ?

Isske bhi kafi sare reasons hote hai sabke apne apne reasons hota hai block instagram user ko unblock karne ka.

> Kaibar kya hota hai ki ham kisi apne jan pehchan bale ya relative ke account ko anjan samajhkar block kar dete hai aise me ham chahte hai ki ab usse unblock karde.

> Mistake se koi kabhi kabhi hamse koi id block hojata hai to ham usse firse unblock karna chahte hai.

> Kabhi kabhi kya hota hai ki hame kuchh dekhna hota hai aur wo blocked bale user ke id me post hota hai to ham usswakt usse unblock karte hai aur fir block kardete hai.
Aise bohot se sabke apne apne reasons ya karan hota hai kisiko instagram account me block ya unblock karne ka. To chaliye ab ham jan lete hai kis kaise ham Android mobile phone ya iphone me kisiko aone instagram account me block karenge.

Android mobile phone ya iPhone me kisi instagram user ko block kaise kare:


Aap in sabhi steps ko follow karke apne android mobile phone ya fir iphone me kisi ke instagram id ko bloc kar sakte hai apne account me method same hi hai dono ka chahe wo android ho iphone to aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Step1. Sabse pehle aap instagram application ko open kare.

  • Sabse aap apne android mobile phone ya iphone me instagram ke official application ko open kare. Instagram application open honeke badh aap aap apne uss instagram account ko login kare jissme aap kisi dusre instagram user ke account ko block karna chahte hai. Agar aap pehle logged in uss account se to aapko dubara ussi account se login karne ki koi jarurat nahi aap aage ki steps ko follow kare.

Step2. Search ke option par click kare.

Aap instagram application ko open karenege to aapko sabse niche screen ke buttom me kuchh options dikhega. Aap niche buttom me Home option ke right side me dekhenge to aapko ek search ka option dikhega jiska icon ek black color ka magnifying glass hoga. Jo ki '+' ke option ke left side me hoga aur Home option ke right side me.

Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


To aapko ussi magnifying glass bale search icon ke option par click karna hai.

Step3. Searchbar me aap jisse block karna chahte hai uska account search kare.


Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Aap niche buttom ke search ke option oar click karenge to aapko upar ek searchbar dikhega jissme aapko uss instagram user ka id ya account search karna hai jisse aap Block karna chahte hai.

Step4. Jis instagram user ko aap block karna chahte hai aap usske account par click kare.

Search karne par ho sakta aapke samne kafi sare account aajaye search result me to aapko uss account par click karna hai jisse app block karna chahte hai.

Step5. Upar right side corner me aapko 3 dots dikhega aapko usspar click karna hai.


Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Aap kisiko account par click karenege to usska profile khuljayega. Jahapar usske sare details hoga. Upar Right side corner me dekhenge to aapko ek 3 dot ka option dikhega aapko uss 3 dot bale option oar click karna hai.

Step6. Ab aap block ke option par click kare.




Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Jaise hi aap upar Right corner bale 3 dots pe click karenge to aapke samne kuchh options dikhega jinmese report ke niche ek block ka option hoga aau uss block ke option par click kare.

Step7. Yes, I'm sure par click karke aap confirm karde.

Aap block ke option par jaise hi click karenege aapse instagram ek question puchhega, Are you sure ?




Matlab aap sachme isse block karna chahte hai ya mistake se aapko iss block ke option par click hogaya hai to aapko Waha par Yes, I'm sure ke answer par click kardena hai ki haan mai janbujhakar iss instagram userko block kar raha hu.

Ab aap user blocked ka ek notice dekhenge. Matlab wo user block hogaya hai. Ab wo aapko paresan nahi kar payega uss id se.

Blocked Instagram user ko unblock kaise kare:


> Aapne abhi jiss user ko block ki hai aur aap usse unblock karna chahte hai to, user ke profile kholenge jisse aapne block ki hai wahapar aapko ek blocked ka option dikhega. Kabhi kabhi blocked ki jagah unblock ka bhi option dikhega.

Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


> Aapko unblock karne ke liye ussi blocked ya unblock ke option par click karna hai. Ab aako Instagram confirm karne ko bolega ki aap sachme iss user ko unblock karna chahte hai to aap Yes, unblock par click karke confirm karde ki haan sachme ham iss user ko unblock karna chahte hai.

Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Ab wo block user unblock hojayega. Ek aur tarika hai jisse aap dekhsakte hai ki aapne kitne instagram user ko blocked ki hai aur use kaise unblock kar sakte hai. To chaliye jante hai ki dusra tarika kya hai instagram userko unblock karne ka.

Next Method:

Step 1. Instagram ke profile ke option par click karna hai.

Sabse pehle aapko instagram ke home par jana hai. Waha par aapko niche buttom me right side corner me ek profile ka option dikhega person ke icon me aapko uss profile ke option par click karna hai.

Step 2. Usske badh aapko upar ke 3 dots pe click karna hai.

Aap profile ke option par click karenge to upar aapko ek 3 dots ka option dikhega right side corner me, aapko uss right side corner bale 3 dots pe click karna hai.

Step 3. Ab aapko settings me jana hai.



Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Step 4. Privacy ke option par click kare.Settings me aapko kafi sare options dekhne ko milega jinme se ek Privacy ka option hoga aapko uss privacy ke option oar click karna hai.

Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Step 5. Ab aapko blocked Accounts ke option par click karna hai.

Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Aap privacy ke option par click karenge to aapke samne kafi sare options aayega jinmese ek Blocked account ka option hoga aap niche dekhenge to. Aapko ussi blocked Accounts ke options par click karna hai.

Step 6. Aapko uss account par click karna hai jisse unblock karna chahte hai.


Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Blocked Accounts me aapko wo sabhi instagram user accounts dikhega jisse aapne blocked ki hai. To aap jis bhi account ko un block karna chahte hai aap uss account name par click kare.

Step 7. Ab aapko unblock ke option par click karna hai.


Android ya iPhone me instagram user ko block aur unblock kaise kare


Aap block bale account pe click karenge to uss account ka profile khulega aur waha oar aapko aage ki tarha ek unblock ka option dikhega to aapko uss unblock ke option par click karna hai.

Step 8. Ab aap Yes, unblock par click karke confirm karde.


Ab instagram aapko confirm karne ke liye bolega ki aap sachme isse unblock karna chahte hai to aap yes, unblock par click karke confirm karde ki haan sachme mai iss account ko unblock karna chahta hu.
Ab wo Blocked instagram account unblock hojayega jisse aapne block ki thi. Iss tarha se aap kisi bhi instagram user ko block aur unblock kar sakte hai android aur iPhone dono me.

Also See

Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye

Mobile me dark mode ya night mode kaise enable kare bina kisi app ke



Mobile me dark mode ya night mode kaise enable kare bina kisi app ke


Namaskaar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki kaise ham apne android mobile phone me dark mode ya night mode ko enable kar sakte hai. Issme ham aapko application ke through bhi dark mode ya night mode karne ke tarike batayenge aur bina application ke through bhi aapke phone me dark mode ya night mode enable karne ke bareme batayenge to aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye. Issme aapko facebook whatsapp aur messenger aur youtube ko bhi dark mode ya night mode me kaise use kare usske bareme bhi aapko batayenge.



Dark mode ya night mode ham kyun enable karna chahte hai apne phone me ?

Dekhiye kya hota hai ham sirf din me hi apne phone ko use nahi karte hai raat me bhi karte hai kafi der tak. Kabhi kabhi ham chatting ya koi typing ka kaam kar rahe hote hai der raat tak aiseme ham hamare eyes me jyada brightness honeke wajah se light jyada effect karte hai hamare aankhon pe. Default jo hamare phone me brightness sabse jyada kam hota hai wo bbhi der raat ko hame jyada lagta hai.

Ham apne eyes ko light se protect karne ke liye chahte hai kash ham android phone ke brightness ko kafi jyada kam kar pate ya fir night mode ya dark mode kar pate taki hamare aankhon me jyada light effect nahi karpata.

Kisi bhi Android mobile phone me dark mode ya night mode kaise enable kare :
Isske bareme hamne aage bhi ek article publish ki hai aap wo bhi ekbar dekhlijiye ussme bhi hamne 2 tarike ya usse tarike ke bareme bataye hai.

To chaliye ab ham in kuchh tariko ke bareme jante hai.

Bina kisi application ke kaise android mobile me dark mode ya night mode enable kare:



Step1. Sabse pehle aap apne phone ke settings me jaye.



Step2. Ab aap apne mobile phone ke advance setting me jaye.

Step3. Usske badh aap accessibility me jaye.



Step4. Usske badh aap niche jaayenge to waha par aapko ek color inversion ka option dikhega aap usspar click kare.



Ab aapke phone me dark mode yani night mode enabled hojayega. Agar aap dark mode ya night mode ko disable karna chahte hai to firse wohi sane process kare.

> Sabse pehle settings me jaye
> usske badh advance setting me jaye
> Usske badh accessibility me jaye.

> Aur fir ussi color inversion par click kare ab aapka dark mode ya night ko disabled hojayega.

Facebook Messenger me dark mode ya Night mode kaise enable kare:


Step1. Sabse pehle aap playstore se apne messenger ko update karle. Agar aapka messenger latest hai ya updated hai to aapko update karne ki jarurat nahi hai.


Step2. Messenger open karne ke badh apne profile ke option par click kare.
Messenger open karenge to upar right side corner me aapko apne profile picture ka chhota icon dikhega aap usspar click kare. Aap niche picture me bhi dekhsakte hai.



Step3. Uske badh Dark mode par click kare. Facebook Messenger ke profile par click karenge to upar aapko ek Dark mode ka option dikhega aapko usspar click karke enabled kar lena hai. Ab aapke messenger dark yani night mode me enabled hojaya.
Agar aap apne facebook messenger me se dark disable karna chahte hai yani hatana chahte hai to same wohi upar ke steps ko follow kare aur Dark mode ke option par click karke disabled kare.



Iss tarha se aap bina kisi application ke apne messenger me dark mose ya night mode enabled kar sakte hai ye feature facebook ke taraf se launch kiya gaya hai.

Chaliye ab ham jan lete hai ki kais eham youtube ko bina kisi application ke Dark mode me chala sakte hai usske bareme jante hai.

Youtube me Dark Mode ya night kaise enable kare:


Step1. Sabse pehle aap apne youtube ke official application ko playstore se update karle. Agar aapke phone me kafi purane bale youtube application hai aur aapne usse update nahi ki hai to ussme dark mode ka option nahi dikhega to aap pehle youtube official application ko playstore se update karle.

Step2. Usske badh Apne youtube id ke profile par click kare. Agar aapne apne phone me youtube ko apne gmail account se logged in nahi ki hai to pehle aap apne gmail account se logged in karle.



    • Uske badh upar aapke gmail account ka profile picture dikhega right side corner pe. Aapko uss profile ke option par click karna hai.

Step3. Ab aapko youtube settings me jana hai. Profile ke option par click karenege aur thoda niche scroll karenge to aapko ek Settings ka option dikhega aapko usspar click karna hai.



Step4. Usske badh aapko general setting par click karna hai. Settings par click karenge to waha par aapko kafi sare settings dekhne ko milega jin mese ek General ka option hoga downloads ke upar, aapko ussoar click karna hai.





Step5. Ab aapko Dark Theme ke option par click karna hai. General par click karne ke badh aapko remind me to take a break ke option ke niche aur Limit mobile data uses ke upar bichme ek Dark Theme ka option hoga aapko uss par click karke usse enabled kar len hai.



     • Ab aap youtube ko dark mode ya night mode me us kar sakte hai. Agar youtube me dark mode ya night mode disabled karna chahte hai to ussi dark theme ke option click karke disabled kar sakte hai.

Google drive me night mode kaise enabled kare:


Step1. Sabse pehle aap google drive application ko play store se update kare.

Step2. Ab aap google drive application ko open kare.



Step3. Usske badh left side me aapko ek 3 horizontal line bale hamburger menu dikhega aapko usspar click karna hai.



Step4. Fir aapko settings ke option par click karna hai.



Step5. Usske badh aapko theme me choose theme ka option dikhega aapko usspar click karna hai.



Step6. Choose theme par click karenege to aapko Dark , lite, and auto ka option dikhega to aapko dark ko select karna hai.
Ab aap apne Google drive ko dark mode ya night mode me use kar sakte hai.



Aap iss tarha se facebook messenger aur youtube ko Dark mode ya Night mode me chala sakte hai bina kisi application ke.

Software ko use karke kaise Android mobile phone me dark mode ko enabled kare.

Playstore pe aise kafi sare application hai jiska istemaal karke aap apne android mobile phone me dark mode ya night mode enabled kar sakte hai aur apne phone ko night mode me chala sakte hai.

    • isske upar maine already ek article publish ki hai aap iss niche digayi link par click karke uss post ko bhi jarur dekhe. Ussme hamne software ko use karke kaise mobile ka brightness jyada se jyada kam kar sakte hai ya night mode enabled kar sakte hai.

Related Post


Android mobile ki brightness ko limit se jyada kam karke - eyes protect kaise kare




See More

Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye

Mobile mein pdf file kaise banate hain | how to create pdf in mobile

Normal aur smart led tv ko mobile phone se kaise connect kare - 3 tarika


Thanks for visit howtohelpinhindi.blogspot.com aapke liye ham aise kafi sare helpful knowledgeable post lekar daily aata rahunga isske liye aap hamara blog visit karte rahiye hamare blog me aose kafi sare posts hai aap use bhi jarur dekhe aur iss post ko facebook whatsapp pe share jarur kare taki aaoke friends ya family ko bhi kuchh sikhne ko mile aur aap hamari bhi thodi si help kar sakte hai. Thank you

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye

Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki mobile se resume kaise banate hai. Jab ham kahi par bhi job ke liye jate hai to pehle hame resume submit karna padta hai. Ussike hisab se company samajhta hai isske pass kya kya quality hai aur isse job keliye bolaye ya nahi.

Job Resume Kya hota hai ?


Job Resume ek special type ka letter hota hai. Jissme hamare bareme hame puri details ek special format me yani ek achhi tarike se apne bareme full details dena hota hai ki hamare pass kya kya qualification hai. Kis post ke liye ham apply kar rahe hai. Kitne year ka work experience hai, aapne biodata ka ek achha presentation ko job resume dikhaya jata hai.

Job Resume Ya CV Mobile me bana sakte hai ?


Ji haan aap bilkul job resume me bhi bana sakte hai. Aajkal aise kafi sare application aur website available hai jisse ham apne job ke liye ek achha sa resume bana sakte hai mobile aur computer dono me. Mobile ke liye bhi play store par aise kafi sare application available hai jisse aap job resume bana sakte hai.

To chaliye ab ham jan lete hai ki mobile me kaise Job Resume banate hai.

Mobile me Job resume Ya CV kaise banaye :


Yaha par mai aapko kuchh steps me sikhaunga ki kaise ham mobile se job resume bana sakte hai to aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Step1. Sabse pehle aap apne phone me resume builder application ko install kare. Resume builder application ko install karne ke liye aap playstore ko open kare.

     • Upar playstore ke search bar me type kare Resume maker ya resume builder aur fir search ke icon par click kare. Ab aapke samne kafi sare application aajayega jisse aap job resume bana sakte hai.

     • To yaha par mai aapko Nithara publication ki wor se jo Resume builder ka application publish kiya gaya hai usske bareme batane bala hu to aap uss application ko playstore se install kar le. Iss appka Naam hoga Resume Builder free,...aur iss app ke icon par kuchh resume ka photo hoga aur usske upar likha hoga My resume.

     • Aap niche app ka icon dekh sakte hai ya fir niche digayi download link se Resume builder application ko install kar sakte hai.

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye




Step2. Resume builder application ko open kare. Resume builder application install hone ke badh aap usse open kare.

      • Jab aap Resume builder application ko open karenge to aapko interface me aapko apne resume ka naam fill up karne ke liye bolega aur niche aur bhi kafi sare options dekhne ko milega.

Step3. Ab aab Resume ka name enter kare. Aapko aap ke interface me start by creating profile me resume ka name enter karne ko bolega.

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye



    • Agar aap job resume bana rahe hai to aap name me job resume 1 ya fir job resume 2 aise koi bhi naam dalsakte hai.

    • Resume ke naam enter karne ke badh aap usske niche digayi create new ke red color bale button par click kare.

Step4. Contact information fill kare. Ab aapko aapka contact information varne ko bolega. Jissme aapko kuchh istarha ka contact details fill up karna hai.


Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye


Name: Yaha par aap apna real name likhe jiss name se aap resume bana chahte hai job ke liye. Jaise ki mera naam hai Prashant Yadav.

Address: Yaha par aapko apna Thegana dalna hai ki aap kaha se ho aapka ghar kaha hai. To aap sahi se apna real address dale.

Email id: Yaha par apna koi gmail email hai ya fir koi bhi email hai to aap wo dale agar aapko nahi pata hai ki email kya hota hai to aap hamara ye niche digayi link bale post ekbar jarur dekhe maine kafi details me aapko bataya hai ki email kya hota hai email kitne types ka hota hai air kafi sare jankari. Email wo dale jo aap use karte ho taki company aapko mail karega.

Phone number: Yaha par aap apna wo mobile number ya phone number dale jo ki aap use karte ho taki company aapko contact karega.

    • Sabhi contact information achhese fill up karne ke badh aapko niche digayi green color bale save ke button par click kare.

    • Agar aapko lagta hai aapse koi chij mistake hogaya hai fill up karne me to wohi par save ke badh update ka button dikhega green color me aap usspar click karke apne information ko firse edit karke save kar sakte hai.

Step5. Academic ke option par click kare. Aap niche bottom me dekhenge to aapko kafir sare options dikhega contact information me no.1 se indicate kiya hoga.


Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye


    • Niche buttom me sabhi options me name sath sath number wise 1,2,3,4,5,6,7.. karke indicate ki hai.

    • To no.1 me hai contact information aur no.2 me hai Academic to aapko Academic ke option par click karna hai.

    • No.2 bale Academic ke option par click karne ke badh aapko Tap '+' to create academic option ke niche ek plus '+'ka button hoga aap usspar click kare.

   • Academic option me aapko kuchh isstarha ka Academic details fill up karna hoga.

Course / Degree: Yaha par aapko apne uss course ya degree bareme likhna hai jo course aapne ki hai ya fir jiska degree appne li hai jaise ki Civil engineer, Computer engineer, doctor, nurse etc.

School /college/university name: Yaha par aapko apne uss school, college ya fir university ka naam likhna hai jaha se aapne ye course complete ki hai ya fir degree li hai.

Percentage % ya CGPA: yahapar aap apna wo percentage ya CGPA dale jo aapne uss course me hasil ki hai. Ya wo marks jo aapne obtain ki hai apne course karte wakt usse percentage ya CGPA me dale. Agar aap percentage me dalna chahte hai to percentage bale option ko tick kare agar aap CGPA me dalna chahte hai to CGPA bale option ko tick kare.

Graduated ya pursuing: Agar aap graduated hai matlab to graduated bale option ko tick kare. Agar pursuing hai to pursuing bale option ko tick kare.

Passing year: Agar aap graduate ho chuke hai to aapko passing year dena hoga matlab aapne kis year me apna course complete ki hai wo.

     • Usske badh aap niche digayi Green color ke Save button par click kare. Agar aapse koi mistake hogaya ho to aap usse update bhi kar saktw hai wohi par save karne badh save button ke jagah update button aajayega.

Step6. ab aap no.3 bale work experience ke option par click kare. Jaise aap iss work experience bale option par click karenge aapke samne tap '+' to create work experience ka option aajayega aur usske niche ek plus '+' ka button hoga aap usspar click kare.

Issme bhi aapko kuchh istarha ka options fill up karna hoga,

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye


Organization: Yaha par aap uss organisation ya company ka naam dale jaha oar aapne kaam ki thi.

Designation: Yaha par aap apna post yani (पद) dale ki aapne kaunse post par work ki thi.

    • Designation ke niche aapko 2 options milega tick karne ke liye ek hoga previous employed aur dusra hoga current employed.

Previous employed: Agar aap pehle kaam ki hai to previous employed hale option me tick kare. Previous option ko tick karenge to aapko date varne ko bolega.

     From Date: Yaha par wo date dale jab aapne company ya organization join ki thi kaam karne ke liye.

     To Date: Aur yaha par wo date dale Jab aapne uss organization ya company ko chhoda tha.

Current Employed: Agar Agar aap avi bhi kaam kar rahe the to aap iss current employed bake option me tick kare. Issme bhi aako 2 date puchhega.

     From Date: matlab aapne company ya organization kab join ki thi.

     Till Date: aap isse kabtak rahe hai wo date di jiye.

Role: Ab aab apna role dale ki aapka kya role tha uss company me.

    • Aur ab aap save ke button par click kar dijiye. Aap chahe to usse update bhi kar sakte hai.

Step7. Agar aapne koi project ki hai to aap no.4 bale project ke option par click kare. Aap project oe option par click karenege to firse aapko tap'+' to create project ka option aayega to aapko firse '+' ke button ko click karna hai.

      • Ab aapko project ka details varna hai. Aapko kuchh istarha ka details varna hoga.
Project Tittle: Aapne kaunse project ki hai uss project ka Naam ya tittle dale jo bhi project ho.

Description: Yaha par aap apne uss project ke bareme details vare ki aapne kya kya ki thi uss project me kaha oar ki thi.

Duration / Time: Aapka project kitne dinka tha wo duration time dale.

Role: Uss project me aapka role kya tha wo role dale.

Team Size: Ab aap yaha par size dale ki aapka team kitna bada tha, kitne log the aapke team me wo sab.

   > Ab aap niche digayi save ke button par click karke save karle.

Aise aapko kafi sare options milega fill up karne ke liye mai aapko yaha kuchh important options ko fill up karne ke bareme bataya hu baki aap khud karle apne jarurat ke hisab se.

Step8. Ab aapko no.8 me ek photo aur signature ka option dikhega to aapko uss option par click karna hai.

       • photo aur signature ke option par click karenge to aapko pehle photo ka option dikhega aapko apna ek achha sa photo lagalena hai jo ki bohot jyada edit na ho aur clear dikhe. Ho sake to achha sa ek naya photo click karke lagaye. Photo aap pet se upar yani chest se lekar sar yani head tak ka click kare jissme eyes, face, nose, ear aur hair achhe se dikhta ho. Thoda dhang ka formal dress lagakar click karbaye.


Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye


      • Agar aapke phone me koi achha sa photo hai to aap photo ke option par click karke apne phone se uss photo ko select kar sakte hai. Aur photo sahi se set karne ke badh save ke option par click karde.

  > Ab aapko signature ke option par click karna hai. Photo ke niche ek signature ka bhi option dekhne ko milega aap uss option par click kare. Signature ke option par click karenge to aapko 2 options dekhne ko milega ek upload from file aur dusra signature here.

        • Upload from file: Agar aapne pehle se koi signature karke apne phone me rakhe hai to aap iss upload from file ke option par click kare aur apne uss signature bale file ko upload kar de.

        • Or signature here: Agar aap abhi signature karna chahte hai apne phone se to aap iss signature here ke   signature box me apna signature kare.

> Signature ho jane ke badh aap save ke button par click kare ya aapse signature mistake hogaya ho aur aap signature change karna chahte hai to save button ke side me ek clear ka bhi button hoga aap uss clear ke button par click karke pehle clear kare aur firse re signature kare.

  > Sahi se signature hojane ke badh aap save ke button par click karde.

Step9. Finally Generate ke option par click kare. Sab chij sahi se fill karne ke badh ab aap finally no.11 bale Generate ke option par click kare.

     • Generate me aapko 2 options dikhega ek Classic Generate aur dusra color generate ka aap color me generate karna chahte hai to aap color generate bale option par click karke waha par kuchh color bale format milega aap kis color ke kis format me apna job ya cv resume ko generate ya nai save jarna chahte hai wo select kare.

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye



       • Classic me bhi aapko kuchh formats dekhne ko milega mi aap kaunse format me apna Job resume ya CV resume create karna chahte hai. Aap jiss bhi format me apna Job resume ya CV resume banana chahte hai uss format ko select kare.


Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye


Note: Yaha iss app me aapko kuchh hi classic format aur color format free me milega baki sabhi format use karne ke liye aapko pro bala app upgrade karna hoga usske liye aapko kuchh paise dena hoga.
Step10. Aap Format select karne ke badh har format ke niche ek Generate ka option hoga aap uss par click kare. Generate par click karenge to aapko bolega choose your options. Options kuchh isstarha ka hoga.

Photo
Signature
Signature name
Cover letter

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye


Agar aap apne Job resume ya CV resume me ye sabhi chij chahte hai to in sabhi options ko tick kare.

> Ab aap finally Generate Resume par click kare. Ab aapka Job resume ya CV resume create hojayega.

Ab aap no.12 me view ke option par click karke apne uss Job resume ya CV resume ko dekh sakte hai. Ye ek .pdf file me create hoga aap isse apne kisi pdf viewer application se open kar sakte hai. Aajkal lagbhag sabhi phone me pdf viewer hota hai nahi hai to playstore adobe acrobat pdf viewer ya fir koi aur pdf viewer install karle aur iss open karke dekh sakte hai.

Also See
• Mobile mein pdf file kaise banate hain | how to create pdf in mobile